gumsum hua awaaz ka darya tha jo ik shakhs
pathar bhi nhi ab woh, sitara tha jo ik shakhs
shayad wo koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko baray ghaur sey parhta tha jo ik shakhs
sehra ki tarha dair sey pyaasa tha woh shayad
badal ki tarha toot k barsa tha jo ik shakhs
ay taiz hawa koi khabar us k janoon ki…?
Tanha safar-e-shauq pey nikla tha jo ik shakhs
ab aakhri satron men kahin naam hai us ka
ahbaab ki fehrist men pehla tha jo ik shakhs
haathon men chupaey huay phirta hai kai zakhm
sheeshay k khilonon sey behelta tha jo ik shakhs
mur mur k ussay daikhna chaahein meri aankhein
kuch dur mujhey chorney aaya tha jo ik shakhs
ab us ney bhi apna liye duniya k qareenay
saaey ki rafaqat sey bhi darta tha jo ik shakhs
har zehan men kuch naqsh-e-wafa chor gaya hai
kehney ko bharay shehar men tanha tha jo ik shakhs
munkar hai ab wohi meri pehchan ka mohsin
aksar mujhey khat khoon sey likhta tha jo ik shakhs
No comments:
Post a Comment