Jab hijr k shehar mein dhoop utrri,main jaag parra to khawab hua
Meri soch khizaan ki shaakh bani, tera chehra aur gulaab hua
Barfeeli rut ki taiz hawa kiyun jheel mein kanker phhaink gayi
Ek aankh ki neend haraam hui, ek chaand ka aks kharab hua
Bharay shehar mein ek hi chehra tha,jisay aj bhi galiyan dhoondti hain
Kisi subha us ki dhoop hui kisi shaam wohi mahtaab hua....!!!
Teray hijr mein zehan pighalta hai,teray qurb mein aankhein jalti hain
Tera khona aik qayamat tha, tera milna aur azaab hua....!!!
Barri umr k baad in aankhon mein,ek abr utrra teri yaadon ka
Meray dil ki zameen abaad hui, meray mann ka nagar shadaab hua
Kabhi wasl mein MOHSIN dil toota, kabhi hijr ki rut ney laaj rakhi
Kisi jism mein aankhein kho baithay, koi chehra khuli kitaab hua
No comments:
Post a Comment