Pages

Sunday, 27 November 2011

Woh shakhs aisa gaya phir nazar nahee aaya



Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shakhs aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa kay dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraagh ney poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool merey naam per nahee aaya

Pallat ker aaney lagay shaam kay parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaisey katey gi agar nahee aaya ..!!




No comments:

Post a Comment