wohi gerdishen, wohi paich o khum teray baad bhi
wohi hoslay meray dam ba dam teray baad bhi
teray saath bhi teri har jafa mujhay muatabar
teray saray ghum mujhay mohtaram teray baad bhi
teray gham say hay meri har khushi mein waqar sa
meray haal pay hain teray karam, tere baad bhi
barray muztarib meray raastay teray baad bhi
barray pur sakun hein meray kadam teray baad bhi
teray saath bhi meri har khushi teri muntazir
teri muntazir meri chashm e ghum teray baad bhi
teray saath thi meri dastaras mein jo roshni
fakt aik pal kabhi subh e dam teray baad bhi
tujhay jaan e ghum jo kaha kabhi to ghalat kaha
meri zindagi ka jawan hay gham teray baad bhi
tujhay pass e ehd e wafa raha mere saath kab?
mujhay jaa'n say barrh kay tera bharam teray baad bhi
meray baad kitnay hi roop tu nay bad'al liay
main wohi hoon ab bhi teri qasam, teray baad bhi
tu kisi k qalib e aarzu mein bhi dhall gaya
main na ho saka kabhi khud mein zamm teray baad bhi
teri aahaton ka gudaz tha mera humsafar
yehi ik gumaa'n mera hum kadam tere baad bhi
tu chala gia sabhi qehqahon ko samet ker
mere pas hay mera zarf e ghum, teray baad bhi
No comments:
Post a Comment