Pages

Tuesday, 22 November 2011

yeh rida e jaan tujhay sonp doon keh na dhoop tujh ko karri lagay




meray hamsafar ! teri nazar hain meri umr bhar ki yeh dolatain

meray shair,meri sadaqatain,meri dharkanain,meri chahatain

tujhay jazb kar loon lahu men mein keh firaq ka na rahay khatar

teri dharkanon men utaar doon mein yeh khawab khawab rafaqatain

yeh rida e jaan tujhay sonp doon keh na dhoop tujh ko karri lagay

tujhay dukh na dain meray jeetay gee sar e dasht gham ki tamazatain

meri subha teri sadaa say ho,meri sham teri ziya say ho

yehi tarz e pursish e dil rakhain teri khushbuon ki safaartain

koi aisi bazm e bahaar ho mein jahan yaqeen dila sakuun

keh tera he naam hai fasl e gul,keh tujhi say hain yeh karaamatain


tera qarz hai meray roz o shab,meray pass apna to kuch nhi
meri rooh, meri mataa e fun, meri saans teri amaanatain



No comments:

Post a Comment