Pages

Saturday, 24 December 2011

ajab pagal sa larka hai





ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
mujhay her baar kehta hai
teray honay sey meri zaat ki takmeel hoti hai
usay maloom bhi hai main to khud ik aam larki hoon
magar wo mujh sey kehta hai
nahi tum sa koi dooja

ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
naya ik naam deta hai, naii pehchaan deta hai
meray andar k sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha
jaan laita hai
meri barson purani baat bhi wo yaad rakhta hai
mujhay her baar kehta hai
teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta

ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
to pehron mujh ko takta hai
usay her rang jo main ney ho pehna, acha lagta hai
usay her khawab jo main ney ho dekha, sacha lagta hai

ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
mujhay her baar kehta hai
teri muskaan janan zindagi main rang bharti hai
mujhay dukh k andheron main kabhi khonay nahi deti
usay meray hina-ii haath takna acha lagta hai
usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kaya zid hai
ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho
wo mujh ko socha karta hai, mujhi ko yaad rakhta hai

ajab pagal sa larka hai
wo mujh sey jab bhi milta hai
hazaron baar kehta hai
mujhay tum sey mohabbat hi nahi ishq hai janan
bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deta hai
main us pagal sey larkay k liye ab aur kaya likhoon
mujhay us ko batana hai
keh us ki muskurahat per
main duniya waar sakti hoon
bus us ki aik aahat per
main jeewan haar sakti hoon
mujhay us sey mohabbat hai
mujhay bhi ishq hai us sey
ajab pagal sa larka hai
ajab pagal si main bhi hoon


No comments:

Post a Comment