Pages

Sunday, 25 December 2011

har ek naqsh pey tha teray naqsh-e-paa kaa gumaaN



Hazaar gardish-e-shaam-o-sehar sey guzray hain
vo qaafiley jo terii rah_guzer sey guzray hain

abhii havas ko mayyassar nahin dilon kaa gudaaz
abhii yeh log muqaam-e-nazar sey guzray hain

har ek naqsh pey tha teray naqsh-e-paa kaa gumaaN
qadam qadam pey terii rahguzar sey guzray hain

na jaaney kaun sii manzil pey jaa k ruk jaayain
nazar k qaafiley deevar-o-der sey guzray hain

kuchh aur phail gaeen dard kii kaThin raahain
Gham-e-firaaq k maarey jidhar sey guzray hain

jahaN suroor mayyassar tha jaam-o-maey k baGhair
vo maikadey bhii hamaarii nazar sey guzray hain




No comments:

Post a Comment