w0h dilawar jo siyah shab k shikaArii nikley
woh bhi charhtay huey so0raj k pujaarii nikley
sab k hont0n pey merey baad hain baatein meri
merey dushman merey lafz0n k bhikaari nikley
aik jazaaja utha maqtal sey ajab shaan k saath
jaisey sajj kar kisi faateh ki sawAarii nikley
behtay Ashk0n sey shuAaon ki sabeelain pho0tin
chubtay zakhm0n sey fun-e-nakqsh nigaAri nikley
hum ko har daur ki gardish ney salaAmi dii hay
hum woh pathar hain jo har daurr men bhAari nikley
Aks k0i ho khad-0-khaAl tumhaArey dekhuun
bazm k0i ho magar baat tumhaAri nikley
apney dushman sey men be wajah khafa tha mohsin
merey qatil to merey apney hawaArii nikley
No comments:
Post a Comment