hum aisay gada'gar hain keh khairaat say pehlay
uth kar chalay aayen gay mulaqaat say pehlay
yeh jeet ka nasha bhi ajab cheez hai yaaro
woh jashn manaata hai meri maat say pehlay
ik shakhs nazar aaey ga maayoos o pareshaan
dekho gay idhar jab bhi inayaat say pehlay
pal pal yeh sadaa goonjti hai waadi e dil men
laut aao meray dasht men afaat say pehlay
mein aaj bhi ik aalam e wajdaan men gum hoon
yeh haal na tha shehar e talismaat say pehlay
lau apnay chiraaghon ki zara aur barhaa do
ehsaas e judai ki siyah raat say pehlay
hum nay gham e duniya! kabhi socha he nhi tha
jaanaan! teray bakhshay huay sadmaat say pehlay
No comments:
Post a Comment