Haal mat pooch ishq karney ka
Umarjeenay ki, shoq marney ka
Woh mohabbat ki ehtiyaat k din
Haaye mosam woh khud sey darney ka
Ab usay aainay sey nafrat hai
Kal jisey shoq tha sanwarney ka
Khudkushi ko bhi raigaan na samajh
Kaam yeh bhi hai kar guzarney ka
Umr bhar k azaab sey mushkil
Ek lamha, sawaal karney ka
Khoon rona bhi ik hunar thehra
Baanjh mosam main rang bharney ka
Toot-tey dil ko shoq hai Mohsin
Soorat-e-barg-e-gul bikharney ka
No comments:
Post a Comment