Merey ashkon ko palkon par machalna bhi nahi aata
keh raah e zabt seY mujhko nikalna bhi nahi aata

gaye ho aisi raahon par akela chhor kar mujhko
keh jin par theek sey mujhko to chalna bhi nahi aata

mujhey lagta hai jesey mein koi gham ka sooraj hoon
keh jisko shaam ho jaaney pey dhalna bhi nahi aata

tumhari be rukhi ik din unhen barbad kar dey gi
jinhen nazron sey gir kar phir sambhalna bhi nahi aata

na rehtey muntazir terey to phir ham or kaya kartey
hamen teri terha rastey badalna b nahi aata