Tooti hai meri neend, magar tumko is sey kaya
Bajtey rahein hawaaon sey dar, tumko is sey kaya
Tum moj moj misl-e-saba ghoomtay raho
Kat jayein meri soch k per, tumko is sey kaya
Auron ka haath thaamo, inhein rasta dikhaoo
Mein bhool jaaun apna hi ghar, tumko is sey kaya
Abr-e-garaiz pa ko barasney sey kaya gharz
Siipi men ban paye gohar, tumko is sey kaya
Ley jayein mujhay maal-e-ghaneemat k sath aduuv
Tum ney to daal di hai sapar, tumko is sey kaya
Tum ney to thak k dasht men khaimey laga liye
Tanha Katey kisi ka safar, tumko is sey kaya
No comments:
Post a Comment