Tumhein jaaney ki jaldi thi
So apni jald bazi men
Tum apney lams ki kirnain, nazar k zaawiye, poron ki shammein
Merey seeney men barhakti chhorr aaye ho
Wahan takiye k neechey
Kuch sunehrey rang ki tooti hui saansein
Kisi nozaayida khushbu k taza khawabchey
Bister ki shiknon men giray kuch khuubru lamhey
Dressing room men hanger sey latki aik sad rangi hunsi ko...
Bus achanak he pas-e-parda latak'ta chor aaye ho
Tumhein jaaney ki jaldi thi
Ab aisa hai jab bhi
Be khayali men sahi, kabhi is taraf niklo
To itna yaad rakhna
Ghar ki chabi sadar darwaazey k baayein hath per
Ik hol mein rakhi miley gi
Aur tumhein maloom hai
Kapron ki almari humesha sey khuli hai
Safe ki chabi to tum ney khud he gum ki thi
So wo tab sey khula hai, or is men kuch
Tumhari chooriyan, ik aadh angoothi or in
K beech mein kuch zard lamhey or in lamhon ki girhon
Men bandhi kuch lams ki kirnein, nazar k zaawiye
Poron ki shammein, or sunehrey rang ki tooti hui
Saansein milein gi or wo sub kuch jo maira or
Tumhara mushtarik asa'asa hai simat paaye to ley jana.....
Mujhey Jaaney ki jaldi hai...!!!
No comments:
Post a Comment