Pages

Friday, 2 March 2012

aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pey aa


“aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pey aa
umer guzri tujhay dekhay huay behlaaye huay
yaad hay?
Ham tujhay dil maantay thay
Apnay seenay men machalta hua ziddi bacha
Teray har naaz ko ungli sey pakarr kar aksar
Nit naye khawab k bazaar men ley aatay thay
Teray har nakhray ki farmaayesh par
Aik jeevan ki tamannaaon ki beenaai sey ham
Dekhtay thaktay na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Naya maahol
Mohabbat ki fiza
Ham donon
Aur kisi baat pey takiyon sey larai apni
Phir larai men kabhi hanstay huay ro parrna
Aur kabhi rotay huay hans parrna
Aur thak haar kar gir parrnay ka masoom khushi bakhsh khayal
Yaad hay?
Ham tujhay sukh jaantay thay
Raat hans deti thi be'saakhta rawish sey teri
Dil teri doori sey ro parrta tha
Yaad hay?
Ham tujhay jaan kaha kartay thay
Teri khamoshi sey mar jatay
Teri aawaz se jee utht'tay thay
Tujh ko choo lenay sey ek zindagi aa jati thi
Sharyaano men
Thaam lenay sey koi shehr sa bas jata tha veerano men
Yaad hay?
Ham tujhay milnay k liye
Waqt sey pehlay pohanch jaatay thay
Aur mulaqat k baad
Ham bohat der sey ghar aatay to kehtay keh hamain
Kuch na kaho ham bohat duur sey ghar aaye hain
Is qadar duur sey ghar aaye hain keh shayad he koi aaya ho
Yaad hay?
Ham tujhay Khuda samajhtay thay magar kufr sey dar jaatay thay
Teray chhin jaanay ka dar theek sey rakhta tha
musalman hamain
aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pey aa
teray bhoolay huay raston pey liye phirta hay
emaan hamain
aur kehta hay keh pehchaan hamain
yaad hay ?
ham tujhay emaan kaha kartay thay”

No comments:

Post a Comment