Pages

Friday, 13 April 2012

Main us k chehrey ko dil sye utaar deti hoon



Main us k chehrey ko dil sye utaar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi maar deti hoon,
Yeh mera haq hai keh main usko thora dukh bhi doon,
Main chahat bhi to us ko beshumaar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehley hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhey siwa us k koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupkey sey maan leti hoon...!




ميں کبھي کبھي تو خود کو بھي مار ديتي ہوں ،
يہ ميرا حق ہے کہ ميں اسکو تھوڑا دکھ بھي دوں ،
ميں چاہت بھي تو اس کو بيشمار ديتي ہوں .
خفا وہ رہ نہيں سکتا لمحہ بھر بھي ،
ميں بہت پہلے ہي اس کو پکار ليتي ہوں .
مجھے سوا اسکے کوئي بھي کام نہيں سوجھتا ،
وہ جو بھي کرتا ہے ، ميں سب حساب ليتي ہوں .
وہ سبھي ناز اٹھاتا ہے ميں جو بھي کہتي ہوں ،
وہ جو بھي کہتا ہے ، ميں چپکے سے مان ليتي ہوں . . . !

No comments:

Post a Comment