Pages

Friday 6 April 2012

Phir Sey Pyar Ka Dhoka Khaya Ja Sakta Tha



Phir Sey Pyar Ka Dhoka Khaya Ja Sakta Tha
Dil Ka Kaya Hai Dil Behlaya Ja Sakta tha

Kyun wapis na aaya ja ker woh jaaney 
Lekin us k pas to jaaya ja sakta tha

Gar na hota mom ki soorat dil apna
Gham kay soraj sey takraaya ja sakta tha

Aik tumhara saath agar mil jata to
Sari duniya ko thukraya ja sakta tha

Logon ney mujrim thehraya maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha

Lay dooba jab aankhon ko tufaan Batool
Kesay dil ka shehar bachaya ja sakta tha



No comments:

Post a Comment