Pages

Wednesday, 11 April 2012

tu samandar hai tou phir apnii sakhawat bhi dikhaa





















khud say roothoon tou kaii roz na khud say boloon
phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

tu samandar hai tou phir apnii sakhawat bhi dikhaa
kaya zaroori hai keh main piyaas ka daaman kholoon


main keh ik sabar ka sehraa nazar aataa hoon tujhay
tu jo chaahay tou teray wastay darya ro loon

aur maeyaar rafaaqat kay hian, aesa bhi nahin
jo muhabbat say milay saath ussi kay ho loon

khud ko umron say muqaffal kiye baithaa hoon Fraz
woh kabhi aayee to khalwat-kada- e-jaan kholoon

No comments:

Post a Comment