Pages

Thursday, 10 May 2012

Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi



Aaj bhi taptti dhoop ka sehra 
Terey naram labon ki shabnam 
Teri bikhri, bikhri zulfon k 
Saaye sey mehroom raha 

Aaj bhi pathar hijar ka lamha 
Sadiyon sey be'khawab rutton ki 
Aankhon sey maqsoom raha 

Aaj bhi apnay wasal ka tara 
Raakh uraatti shoq-e-shafaq ki 
Manzil sey maa'doom raha 

Aaj bhi shehar men pagal Dill ko 
Teri deed ki Aas rahi 
Muddat ki gumm summ tanhai 
Aaj bhi merey paas rahi 

AAJ BHI SHAAM UDAAS RAHI 


No comments:

Post a Comment