Pages

Tuesday, 29 May 2012

Teri Mehfil Men Qismat Aazma Kar Hum Bhi Dekhain Gay




Teri mehifl men kismat aazma kar hum bhi dekhen gey
gharri bhar ko terey nazdiik aa kar hum bhi dekhen gey
Teri mehifl men kismat aazma kar hum bhi dekhen gey
Teray kadmon pey sar apna jhuka kar hum bhi dekhen gey 
Bahaarein aaj paigham-e-mohbbat ley k aayin hain
barri muddat men umeedon ki kaliyaN muskarayi hain
Gham-e-dil sey zara daaman bacha kar hum bhi dekhen gey
Agar dil gham sey khali ho to jeeney ka maza kaya hai,
na ho khuun-e-jigar to ashk peeney ka maza kaya hai
Muhbbat men zara aansoo baha kar hum bhi dekhen gey
Muhbbat karney walon ka hai bas itna hi afsana ,
tarrapna chupkey chupkey aah bharna ghut k mar jana
Kisi din yeh tamasha muskara k hum bhi dekhen gey
Muhbbat hum ney maana zindgi barbad karti hai
yeh kaya kam hai keh mar janey par duniya yaad karti hai
kisi ke ishq men duniya luta kar hum bhi dekhen gey

No comments:

Post a Comment