Pages

Friday, 6 July 2012

rukhsat e jaanaan aik qayyamat us pay qayyamat mujh say ijazat


hijr ki rut ghamgeen fizaayen,uff ree muhabbat haaye jawani
jeenay kay din marnay ki duaayen,uff ree muhabbat haaye jawani

waada ki shab khamosh fizaayen,dil men khalish woh aayen na aayen
dar pay nigaahen lab pay duaayen,uff ree muhabbat haaye jawani

mehki hui gulshan ki fizaayen,behki hui saawan ki ghataayen
haath men saaghar sir pay ghataayen,uff ree muhabbat haaye jawani

rukhsat e jaanaan aik qayyamat us pay qayyamat mujh say ijazat
aankh men aansu lab pay duaayen,uff ree muhabbat haaye jawani

hum thay khumaar aur pehlu e jaanan,bas men thi jesay gardish e dauraan
kash woh din ab yaad na aayen,uff ree muhabbat haaye jawani


No comments:

Post a Comment