main Khayaal huuN kisii aur kaa mujhey sochta koii aur hai
sar-e-aaina meraaaks hai pas-e-aaina koii aur hai
main kisii k dast-e-talab men huuN to kisii k harf-e-duaa men huu.N
main nasiib huuN kisii aur ka mujhey maaNgta koii aur hai
kabhii lauT aayeN to puuchhna nahin dekhna unhein Ghaur sey
jinhen raastey men Khabar huii keh yeh raasta koii aur hai
tujhey dushmanon ki khabar na thi, mujhay doston ka pataa na tha
teri daastaan koi aur thi, mera vaakayaa koi aur hai
ajab aitbaari be'aitabaarii k darmiyaaN hai zindagii
main qariib huuN kisii aur k mujhey jaanta koii aur hai
vahii munsifon kii rivaayaten vahii faisalon kii ibaaraten
mera jurm to koii aur thaa par merii sazaa koii aur hai
terii roshanii merey Khadd-o-Khaal sey muKhtalif to nahiin magar
tuu qariib aa tujhey dekh luuN tuu vahii hai yaa koii aur hai
jo merii riyaazat-e-niim_shab ko “Saleem” subah na mil sakii
to phir is k maanii to ye huey keh yahaaN Khudaa koii aur hai
Sar: Beginning, Chief, Desire, Epilepsy, Head, Origin, Pinnacle, Top
Sar-e-Aaiinaa: In front of the mirror
Pas-e-Aaiinaa: Behind the mirror, a reflection in the mirror
Dast: Hand, Power
Dast-e-Talab: Under the power of
Harf: Syllable, Letter, Alphabet, A Letter Of The Alphabet, Talk
Harf-e-Duaa: In every prayer/wish
Ba-Aitabaar: Without trust, without belief
Munsif: Judge, Just
Rivaayat: Tradition
Ibaarat: Admonishing, Composition, Diction, Style, Wording
Khadd: A furrow; an opening, crack (in the ground);—the cheek
Khaal: A black mole on the face (regarded as ornamental); a spot, patch (natural); an artificial spot (made of kฤjal, &c., for ornament, or to ward off the effects of the malignant eye)
Mukhtalif: Different Types, Other
Riyaazat: Spiritual practice, prayer
Niim-Shab: Midnight
Saleem: A reference to the poet, Saleem Kausar
No comments:
Post a Comment