Pages

Tuesday, 11 September 2012

Muddat hui hai yaar ko mehma’n kiye huey



Muddat hui hai yaar ko mehma’n kiye huey
josh-e-qadah sey bazm chiragha’n kiye huey
Qadah: Peg, Goblet
Kartaa hun jamaa phir jigr-e-lakht-lakht ko
arsa hua hai daawat-e-mizahga’n kiye huey
Jamaa: Amassed, Assembled
laKht: Piece, Fragment
Dawat: Banquet, Invitation, Junket
Mizahgan: Eyelids, Eyelashes
Phir vaza-e-ehtiyaat sey rukney laga hai dam
baraso’n huey hain chaak girebaa’n kiye huey
Vaza: Appearance, Behaviour
Ehatiyat: Care, Caution,
Chaak: Slit, Torn, Tear Off
Gireba’n: Collar
Phir garm_nalaa haaye sharar_baar hai nafas
muddat hui hai sair-e-chiragha’n kiye huey


Nalaa: Lamentation, Rivulet
Sharar-Baar: Raining Sparks Of Fire
Sair-e-chiraghan: Strolling Through Brightly Illuminated Paths

Phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishq
samaa’n-e-sad_hazaar namak_daan kiye huey
Pursish: Inquiry, To Show Concern About Some Ones Condition
Jarahat: Surgery
Sad-Hazaar: Hundreds of thousands
Namak-Daan: Container To Keep Salt
Phir bhar raha hai Khamaa-e-mizhga’n ba_Khoon-e-dil
saaz-e-chaman_tarazi-e-daaman kiye huey
Khaama: Pen
Baa-Khoon: With blood
Saaz: Apparatus, Concord
Chaman: Flower Garden
Tarazi: Agreeing, Consenting
Baa_ham_digar huey hain dil-o-deeda phir raqeeb
nazaraa-o-Khayaal ka saamaa’n kiye huey
Ham-Digar: Mutual, In Between
Diidaa: Seen, observed
Raqiib: Competitor
Samaan: Confront
Dil phir tawaaf-e-ku-e-malaamat ko jaaye hai
pindaar ka sanam_kadaa veeraa’n kiye huey
Tavaaf: To Circle, Go Around
Kuu: Street, Lane
Malaamat: Adverse criticism
Pindaar: Arrogance, Ego, Pride, Self-esteem
Sanam-kadaa: Place where the sweetheart/lover lives
Phir shauq kar raha hai Kharidaar ki talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaa’n kiye huey
Mataa: Effects, Goods, Merchandise 

Daurrey hai phir har ek gul-o-laalaa par Khayaal
sad_gulisitaa’n nigaah ka saama’n kiye huey
Laalaa: Beautiful, flower
Phir chahta hun naamaa-e-dil_daar kholna
jaa’n nazar-e-dil_farebi-e-unvaa’n kiye huey
Naamaa-e-Dil-Daar: Love letter
Dil-Fareb: Alluring, Beautiful


Maangey hai phir kisi ko lab-e-baam par havas
zulf-e-siyaah rukh pey pareshaa’n kiye huey
Lab-e-Baam: The Corner Of A Terrace
Havas: Ambition, Desire, Lust, Greed
Siyaah: Bad, Black


Chaahey phir kisi ko muqaabil men aarzuu
surmey sey tez dashnaa-e-mizshgaa’n kiye huey
Muqaabil: Against, Converse
Aarazu: Aspiration, Desire
Tez: Caustic, Clever
Dashnaa: Dagger
Ik nau_bahaar-e-naaz ko taakey hai phir nigaah
chehra furogh-e-mai sey gulistaa’n kiye huey
Nau-Bahaar: Early SpringNau-Bahaar-e-Naaz: Lover
Taak: Aim, Look, Regard, Shelf, View
Furogh: Light, Bright
Phir ji mei hai keh dar pey kisi k parrey rahein
sar zer baar-e-minnat-e-darbaa’n kiye huey
Zer: Defeated, Under, Weak
Zer-e-Baar: Obliged, Thankful
Sar Zer Baar: Head bowed in thanks
Minnat: Supplicate
Darbaan: Doorkeeper



Ji Dhondhta hai phir vahi fursat k raat din
baithey rahein tasawur-e-jaanaa’n kiye huey
Tasawur: Imagination

 ‘Ghalib’ hamein na chher keh phir josh-e-ashk sey
baithey hain ham tahaiyya-e-tuufa’n kiye huey ..

No comments:

Post a Comment