Pages

Monday, 24 September 2012

Ro ro k terey dukh, sehra sa ho gaya hoon



Jis sey bandhey thay dono, wo gham nahi rahey hain,
Tum tum nahi rahey ho, hum hum nahi rahey hain,

Chaahat k geet men hai, koi kami yaqeenan,
Aakhir terey merey sur jumm nahi rahey hain,

Ro ro k terey dukh, sehra sa ho gaya hoon,
Ab aankh k kinaray bhi nam nahin rahey hain,

Lamhon k pairr par hain, kuch phool dard-e-gham k,
Jeewan men ab khushi k mausam nahi rahey hain,

Tu aur simt men hai, mein aur simt men hoon,
Ulfat k raastay ab baaham nahi rahey hhain,

Fikr-e-muaash ney tau jazbon ko rond daala,
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahey hain,

Raahon men ab kharra hoon, phelaaye haath khaali,
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahey hain...!

No comments:

Post a Comment