kisi ki aankh pur'nam hai, muhabat ho gaii ho gi
zubaan pey qisa-e-gham hai, muhabat ho gaii ho gi
kabhi hansna kabhi rona kabhi hans hans k ro dena
ajab dil ka yeh aalam hai, muhabat ho gaiiho gi
jahan vehshat hi vehshat thi wahan phoolon ka mosam hai
yehi aijaaz kuch kam hai, muhabat ho gaii ho gi
kabhi aankhon hi aankhon men woh baaton ka bta dena
kabhi takraar baham hai, muhabat ho gaii ho gi
kisi ko saamney paa kar kisi k surkh honton par
anokha sa tabasum hai, muhabat ho gaii ho gi
har ik silvat pey bistar ki kisi ka naam likha hai
diye ki lo bhi madham hai, muhabat ho gaii ho gi
khushi ka hadd sey barrh jana bhi ab be'qarari hai
na gham hona bhi ik gham hai, muhabat ho gaii ho gi...
No comments:
Post a Comment