Sabb log liye sang-e-malamat nikal aaye
Kis shehar men hum ehal-e-muhabbat nikal aaye
Ab dil ki tamanna hai to ay kash yehi ho
Aansuon ki jagah aankh sey hasrat nikal aaye
Har ghar ka diya gull na karo tum keh na jaanay
Kis baam sey khurshed-e-qayamat nikal aaye
Jo derpay pindaar hain unn qatal gahoon say
Jaan dey kay bhi samjho keh salamat nikal aaye
Ay hum sukhan'on kuch to kaho ehd-e-sitam ki
Ek hurf say mumkin hai hikayat nikal aaye
Yaaro mujhay masloob karo tum keh merey baad
Shayad keh tumhara qad-o-qaamat nikal aaye
No comments:
Post a Comment