Yunhi do pal sahi ghamgeen dil ko shaad kartay hain
ameer-e-shehr k aagy koi faryaad kartay hain
thikana dhoondhtay hain ab kisi ujray huey dil men
chalo aao koi veraan ghar aabad kartay hain
tumharey yeh jahan waaly humain pagal samjhtay hain
bhula detey hain khud ko hum tumhain jab yaad kartay hain
unhain fursat kahan betaab dil ka haal sun'nay ki
hamaray wastay kab waqt wo barbad kartay hain
purani baat hai toofan k rukh ko palat dena
jo dil ko phair dy aisa hunar ijaad kartay hain
yeh khamoshi sey barson in ki bunyadon me paltay hain
gharon ko nafraton k zal'zaly barbad kartay hain
tumhari goud men sir rakh k sona chahtay to hain
magar kab safar k zindan humain aazad kartay hain
No comments:
Post a Comment