us mausom e wehshat ki aksar humein yaad aaii
jab ishq tamasha tha aur husn tamashaee
is koo e malamat men pat'thar to bohat aaye
ek wo na nazer aaya jis say thi shanasaee
jo rounaq e mehfil thay baithay hein pas e mehfil
aatay hein soo e mehfil kis shan say herjaee
tadbeer k rangon say taqdeer bana lein gey
aay kash muyasser ho eik raat ki tanhaee
dunya men rahay Mazher aur us ko nahin dekha
kaya faayeda aankhon ka, kis kam ki beenaee
No comments:
Post a Comment