Us raah pey jaaney sey pehlay asbaab sanbhaal k rakh lena
Kuchh ashk firaaq sey ley lena kuchh phool visaal k rakh lena
Ek umr ki mehroomi apney seeney meN chhupaana mushkil hai
Jab hadd E wazaahahat aa jaaye, yeh teer nikaal k rakh lena
Ek hairat dil meN jhaNkey gi, aaNkhoN meN sitaarey TaaNkey gi
Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman men uchhaal k rakh lena
Ek aisi chup taari karnaa jaisey goyaaee sey aari ho
Khaamoshi k gehwaarey men aawaazeN paal k rakh lena
Chehrey sey khushi saabit karna jaisey har dukh sey ghaafil ho
HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal k rakh lena
Woh shaam bohat jald aaye gi jo tum ko tum sey milaaye gi
Us shaam tum apni aahoN sey kuchh naGhmey dhaal k rakh lena
Is kaar E jahaaN ki wehshat par jab koi dastaawez likho
Sab sey aakhir meN kuchh safhey apney ehwaal k rakh lena
Taa’eed k sannatey sey uTho, tardeed k shor meN aa jaao
Ek talkh jawaab sey behtar hai ilzaam sawaal k rakh lena
Ye khawaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munaasib hai lekin
Is zaad E safar meN ‘Azm’ kahiN kuchh sadmey haal k rakh lena
No comments:
Post a Comment