Pages

Tuesday, 27 November 2012

Wahan saans lain bhi to kis tarah? Jahan chahton pey azaab hon


Jahan wehshtain hon idher udher, jahan nafraton k sehaab hon
Wahan saans lain bhi to kis tarah? Jahan chahton pey azaab hon

Jinhain daikh ker meri zindagi ka her aik baab ho surkhuru
Aey merey Khuda meri aankh men kabhi is tarah k bhi khvaab hon

Tu chaley ager to yeh kaainaat simat k teri nazar baney
Tu rukey jahan faqt aik pal wahan hairaton k shahaab hon

Teri baat jessey ravaan ragon men nayii ruton k hon zaaiqey
Terey lafz jessey goher liye kayii seepiyaan tah e aab hon

Teri chaah sey meri dhaRkanon men ajab savaal dhaRak uthain
Teri chashm e must main ja baja unhi dhaRkanon k javaab hon

Terey khaal o khad sey miley mujhey merey apney honey ka hosla
Tujhey soch ker main likhun ager to tamaam lafz gulaab hon

Koyii aaisa khitta e sir'zamin , meri bastiyon men na ho kahin
Jahan her qadam ho azaab e jaan , jahan lamha lamha saraab hon

Tujhey kho k gardish e roz o shab men khaRa hun kessey waqaar sey
Mujhey mut pukaar merey sajan , meri mehnatain na kharaab hon


No comments:

Post a Comment