Pages

Sunday, 2 December 2012

Merii aankhein tak rahi hein teri wapsi ki raahein

























Gham-e-hijr-e-yaar kab tak, rahoon be-qarar kab tak
merey dil bata yeh mujhko, karoon ussko pyar kab tak

yeh hujoom-e-na-muradi ghum-e-be-shumar kab tak
terii baat kaa bharosaa teraa intezaar kab tak

shab-e-hijr ki udasi kahin mujhko lay na doobey
meri dharkanon pey hoga tera ikhteyar kab tak

na hi aaj ka bharosa na hi kal ki hain umeedein
teri raah guzar takun mein shab-e-wasl-yaar kab tak

mein nikal pari thi tanha liyey saraey ranj dil par
magar phir khayal aaya keh sahoon yeh baar kab tak

merii aankhein tak rahi hein teri wapsi ki raahein
tu hi ab bata dey mujhko karoon intezar kab tak

mujhay yoon tau dey geya hay wuh dilasa jaatey jaatey
magar ab yeh sochti hoon karoon eaitbaar kab tak

buhat ilteja ki uss ney keh na jaao
magar uss ki be-dili ka bhala sehtii waar kab tak 



No comments:

Post a Comment