gulaab dil men to aankhon men roshni thi buhat
main us ko chaand ki saa'at men dekhti thi buhat
tumhari chashm e tamanna men hi gulaal na tha
keh merey khawabon ki rangat bhi champa'ii thi buhat
so dil ney thak k abhi sey paraao daal dia
keh tera saath na tha aur zindagi thi buhat
kuch is liye bhi ziada tujhey nahi dekha
keh terey chehrey pey us roz be'rukhi thi buhat
main bazm e anjum o mehtaab ley k kia kerti
chiragh e jaan ko to ik teri roshni thi buhat
is liye to buhat namm hai meri aankhon men
keh aik baar terey saath main hansi thi buhat
khula nahi merey dil pey keh aw'wal e shab e wasl
shahaab tha tera chehra keh chandni thi buhat
tumharey hijr ney khola dar e shanasaayi
zameen e shair o sukhan pehley ajnabi thi buhat
No comments:
Post a Comment