Tuesday, 27 September 2011

Meri anaa ne yeh sisak ker aaj poocha mujhse

Meray mohsin tuu milay to kiss tarha se milay
Na sajday se sir uthaaoon ger duaa se milay ..

Hai hasrat si hamain keh marr hi jaayen hum
Ab k baar tuu milay to iss adaa se milay ..

Zamaanay k dast e jaffaa ne kami na ki magar
Mujhay bhi yeh hauslay meray Khuda se milay ..

Meri anaa ne yeh sisak ker aaj poocha mujhse
Wo mohabbat kaisi mohabbat jo iltejaa se milay .. ?

Kahan chhupp sakay kabhi ehal e jahan se hum
Keh jab bhi milay teray naam ki sadaa se milay ..

Thikana aur kahan tha dar e yaar k siwaa
Wo milay na milay, hum wahan se milay ..

NOukhaiz kab jaanta tha koi haal e dil apna
Bhaid khula jo hum kissi raazdan se milay .. !!

ishq ki raah mein aanay walay pathar bhi nokeelay thay

Jungle thay taareek kahin, kahin mitti rait k teelay thay,
ishq ki raah mein aanay walay pathar bhi nokeelay thay,

tere hijr k naag ka dasna kuch itna zehreela tha,
meri aankh say behnay walay aansu neelay thay,

saanson ki shat'ranj bhi haaray, phir bhi mil na paye wo,
un k pyaar mein hayal shayad Reet, Riwaj, Qabeelay thay,

Tum na'haq naraz huye warna maikhanay ka pata,
ham nay har us shakhs say poocha jis k nain nasheelay thay.

Bohat shiddat say chahta hai mujey wo shakhs

Takhayul ko qaalib main dhalney nahi daita
Kisi ka ehsas hai jo mujey badlney nahi daita


Wassal ka wada bhi karta nahi muj say
Aur hijar ki aag main bhi jalney nahi daita


Bohat shiddat say chahta hai mujey wo shakhs
Mager izhaar wo khud ko bhi karney nahi daita


Zindagi pay meri saansain bhaari hain bohat
Bus ik intezar ka waada mujey marney nahi daita


Yeh Aansoo to Anaa hain meri Ankhoon ki
Aur Anaa ko to kabhi koi girney nahi daita


Kon hai KHUDA ? kuch jaantey ho WASSAL
Jo sehra ko kabi samander say milney nahi daita

Bohat shiddat say chahta hai mujey wo shakhs

Takhayul ko qaalib main dhalney nahi daita
Kisi ka ehsas hai jo mujey badlney nahi daita


Wassal ka wada bhi karta nahi muj say
Aur hijar ki aag main bhi jalney nahi daita


Bohat shiddat say chahta hai mujey wo shakhs
Mager izhaar wo khud ko bhi karney nahi daita


Zindagi pay meri saansain bhaari hain bohat
Bus ik intezar ka waada mujey marney nahi daita


Yeh Aansoo to Anaa hain meri Ankhoon ki
Aur Anaa ko to kabhi koi girney nahi daita


Kon hai KHUDA ? kuch jaantey ho WASSAL
Jo sehra ko kabi samander say milney nahi daita

kabhi dasht-e-dil pay bhi aa rukain teri chahton kay qaflay

Yeh akelay pan ki udasiaan, yeh firaq lamhay azaab say,
kabhi dasht-e-dil pay bhi aa rukain teri chahton kay qaflay,

mein hun tujhko aziz'tar, yeh kesay maan loon hamsafar,
teri baat lagti hay wehm si, teray lafz lagtay hen khawab say,

yeh jo mera rang hay, roop hay, yunhi be'sabab nahi dosto,
meray khushbuon say hain silsilay, meri nisbatain hen gulab say,

wohi mo'atbar hay meray liye, wohi hasil-e-dil-o-jan hay,
wo jo baab tum nay chura liya meri zindagi ki kitaab say

koi lafz nahi lagta mujjey ab uss kay naam jaisa

koi lamha nahi uss ki qurbat ki sham jaisa
koi lafz nahi lagta mujjey ab uss kay naam jaisa


chhup chhup kay maangi hui qabooliat ki dua ho jaisey
uss ka sath to mujey lagta hai Rabb kay inaam jaisa


uss ki khamshi main hai sakoon e sadaf chupa huva
mager uss ka andaz e byan hai ilham jaisa


ik pal menwo hansta hai to ik pal men roo daita hai
uss ka mizaj bhi hai gardish e ayyam jaisa


zamanay bhar ki dhoop say bachaata hai mujhay pyar uss ka
main bay ghar banjara thehra or wo ik khyyam jaisa


uss kay ehsas say har takleef bhi muskera daiti hai
khizaan ruton men hai wo bahaaron kay pegham jaisa


Me to bus Muqtadi hoon namaz e muhabat me wassal
Aur namaz e ishq me uss ka rutba imam jaisa

Ik shakhs purana yaad aaya....

Bikhri bikhri shaamon main

Sehmi sehmi raaton main

Tanha Tanha lamhon main

Gumsum gumsum baaton main

kuch guzra zamana yaad aaya

Aaj gosha-e-tanhai main

Ik shakhs purana yaad aaya

Kaghaz ki tehreeron main

Dhundli si tasveeron main

Ik chehra anjana yaad aaya

Wo parhna usay kitaabon main

Aur Dhoondna usay khawaboon main

Usy paany ki is koshish main

Meri neend ka jaana yaad aaya

Aaj gosha-e-tanhai main

Ik shakhs purana yaad aaya....

Dil kay Faislay


Baray anjaan mausam mein,
boht be'rang lamhon mein,
bina aahat, bina dastak,
boht masoom sa sapna,
utar aaya hay aankhon mein,
bina sochay, bina samjhay,
jhuka dia hay sir ham nay,
magar tabeer kia hogi?
ye ham jaanain, na dil janay,
hamain maloom hay itna,
keh Dil kay Faislay aksar,
Hamain kam raas aaye hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets