Suna hai log usay aankh bhar k dekhtay hain
So us k shehar men kuchh din thehar k dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haalon sey
So apnay aap ko barbad kar kay dekhtay hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e naaz us ki
So ham bhi us ki gali sey guzar k dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o shayari sey shaghuf
So ham bhi mojazey apnay hunar k dekhtay hain
Suna hai bolay to baaton sey phool jharatay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar k dekhtay hain
Suna hai raat usay chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak sey utar k dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar k dekhtay hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thehar k dekhtay hain
Suna hai raat sey barrh kar hain kakulain us ki
Suna hai sham ko saaye guzar k dekhtay hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qayamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar k dekhtay hain
Suna hai us k labon sey gulab jaltey hain
So ham bahaar pay ilzaam dhar k dekhtay hain
Suna hai aaina tamsaal hai jabiin us ki
Jo saada dill hain usay ban sanvar k dekhtay hain
Suna hai jab sey hamaayel hain us ki gardan men
Mizaaj aur hi laal-o gauhar k dekhtay hain
Suna hai chashm-e tasavur sey dasht-e imkaan men
Palang zaawiay us ki kamar k dekhtay hain
Suna hai us k badan ki taraash aisi hai
Keh phuul apni qabaayain qatar k dekhtay hain
Woh sarv qad hai magar be'gul-e muraad nahin
Keh us shajar pey shagufay samar kay dekhtay hain
Bas ek nigah sey lut'ta hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar k dekhtay hain
Suna hai us k shabistaan sey mutsil hai behisht
Makin udhar k bhi jalway idhar k dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamaanay thehar k dekhtay hain
Kisay naseeb keh be perahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar k dekhtay hain
Kahaaniyan hi sahi sab mubaalghay hi sahi
Agar woh khawab hai tabiir kar k dekhtay hain
Ab us k shehar men thehrain keh kooch kar jaayen
Fraz aao sitaray safr k dekhtay hain.....
No comments:
Post a Comment