Pages

Friday, 16 September 2011

Ab kis say kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa

Ab kis say kahain aur kaun sunay jo haal tumhare baad huwa
Is dil ki jheel si aankhoon mein ek khwaab bahut barbaad huwa


Yeh hijr hawa bhi dushman hai us naam kay saaray rangon ki
Woh naam jo mere honton per khushboo ki tarah abaad huwa


Is shehar mein kitne chehray thay kuch yaad nahee sab bhool gaye
Ek shaks kitabon jaisa thaa woh shaks zubaani yaad huwa


Woh apne gaaon ki galiyaan theen dil jin mein naachta gaata thaa
Ab is se farq nahee parta na'shaad huwa ya shaad huwa


Be-naam sataaish rehti thee un ghehri saanwli aankhoon mein
Aisa tu kabhi socha bhi na thaa dil ab jitna be-daad huwa...

No comments:

Post a Comment