Chalo Phir Dhoond Laayen Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!
Jaha Gham Ka Pata Na Tha!
…Jahan Dukh Ki Samjh Na Thi!
Jahan Bus Muskurahat Thi!
Bahaarain Hi Bahaarain Thiin!
Chalo Phir Dhoond Laayn Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
Keh Jab Saawan Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!
Bana’na Aur Duba Dena!
Bohat Acha Sa Lagta Tha!
Aur Is Duniya Ka Har Chehra!
Bohat Sacha Sa Lagta Tha!
Chalo Phir Dhoond Laayen Hum Usi Masoom Bachpan KO
No comments:
Post a Comment