Pages

Saturday, 24 September 2011

Jub ankhaiN bujh kaR arakh huwiin

Jub ankhaiN bujh kaR arakh huwiin
Jub dil ka jawalA sarD huwa
Jub sham-o-shehr kay sehra maiN
Khuwa’boN kay sit’aray raiT huway
Jub umr-e-rawan kay medaa’n maiN
Sub zinda jazbay khait huway
Us waqt mujhay meHsoos huwa
Jub ishq maiN saari umr kati shayad woh nazaR ka dhoka tha
Kirnoon say kisi kay lehjay maiN tanveeR thi meri apni hi
Shab taaB badaN kay jadoo maiN khud meray lahoo ka nasha tha
Kal raat magaR jub khirki par
Mehtaab nay aakar dastak di
Khushboo ki tarha lehraanay lagi
Har simt koi sargoshi si
Jub aankhain bujhnay lagti haiN, jub dil ka jawala sard paray
Us waqt kisi ko kya malooM, kon apna kon paraya tha
Lehjay maiN nasha tha kis kay sabaB aur kis nay kisay mehkaya tha

No comments:

Post a Comment