Main nay dekhaa tha un dino main usay
jab wo khiltay gulaab jesa thaa
us ki palkon say neend chhantee thee
us ka lehja sharab jasa thaa
us ki zulfon say bheegti thee ghata
us ka rukh mahtaab jesa thaa
log parhtay thay khal o khad us kay
wo adab ki kitaab jesa tha
bolta tha zuban khushboo ki !!
log suntay thay dherkanon main use
main nay dekha tha un dino main usay
saaree ankahin theen aainay us kay
saaray chehron main intakhab thaa wo!
sab say ghul mil kay ajnabi rehna
ik darya numa saraab tha wo
khawab yeh hay keh wo"haqiqat tha"
yeh haqiqat hay koi khawab tha wo
dil ki dhartee pay asmaan ki tarah
soorat e saya o sehaab tha wo
apni neendain usi ki nzar huin
main nay paya tha ratjagon main usay
main nay dekha tha un dinon main usay
jab wo hans hans kay baat karta thaa
dil kay khaimay main raat kartaa thaa
rang parhtay thay anchalon main usay
main nay dekha tha un dinon main usay
yeh magar dair ki kahani hay
ye magar door ka fasana hay
us kay meray milaap main hayal
ab to sadiyon bhara zamana hay
ab to yoon hai keh haal apna bhi
dasht e hijraan ki shaam jesa hay
kiaa khabar in dinon wo kasa hai?
main nay dekha tha un dinon main usay !
- Mohsin Naqvi
jab wo khiltay gulaab jesa thaa
us ki palkon say neend chhantee thee
us ka lehja sharab jasa thaa
us ki zulfon say bheegti thee ghata
us ka rukh mahtaab jesa thaa
log parhtay thay khal o khad us kay
wo adab ki kitaab jesa tha
bolta tha zuban khushboo ki !!
log suntay thay dherkanon main use
main nay dekha tha un dino main usay
saaree ankahin theen aainay us kay
saaray chehron main intakhab thaa wo!
sab say ghul mil kay ajnabi rehna
ik darya numa saraab tha wo
khawab yeh hay keh wo"haqiqat tha"
yeh haqiqat hay koi khawab tha wo
dil ki dhartee pay asmaan ki tarah
soorat e saya o sehaab tha wo
apni neendain usi ki nzar huin
main nay paya tha ratjagon main usay
main nay dekha tha un dinon main usay
jab wo hans hans kay baat karta thaa
dil kay khaimay main raat kartaa thaa
rang parhtay thay anchalon main usay
main nay dekha tha un dinon main usay
yeh magar dair ki kahani hay
ye magar door ka fasana hay
us kay meray milaap main hayal
ab to sadiyon bhara zamana hay
ab to yoon hai keh haal apna bhi
dasht e hijraan ki shaam jesa hay
kiaa khabar in dinon wo kasa hai?
main nay dekha tha un dinon main usay !
- Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment