sab ko dil kay daagh dikhaye ik tujhi ko dikha na sakay
tera daaman door nahin tha,haath humi phela na sakay
tu ay dost kahan lay aaya chehra yeh khursheed jamal
seenay main abaad karain gay,aankhon main to sama na sakay
na tujh say kuch hum ko nisbat,na tujh ko kuch hum say kaam
hum ko yeh maloom tha laikin dil ko yeh samjha na sakay
ab tujh say kis munh say keh dain saat samander paar na ja
paich ki ik deewar bhi hum to phaand na paye dhaa na sakay
mann papi ki ujri khaiti sookhi ki sookhi hi rahi
umday badal,garjay baadal,boondain do bersa na sakay

No comments:
Post a Comment