sunaa karo merii jaan, in se, un se afsaane
sab ajnabii hain yahaan, kaun kis ko pehchaane
yahaan se jald guzar jao qaafile waalo
hain merii pyaas ke phuunke hue ye wiiraane
mere junuun-e-parastish se tang aa gaye laug
sunaa hai band kiye jaa rahe hain but-khaane
jahaan se pichhale peher koii tashnaa-kaam uthaa
wahiin pe torre hain yaaroon ne aaj paimaane
bahaar aaye toh mera salaam keh dena
mujhe to aaj talab kar liyaa hai sehraa ne
suna hai huqm ke "Kaifi" ko sang-saar karo
masiihaa baithe hain chhup ke kahaan, khuda jaane

No comments:
Post a Comment