Pages

Thursday, 15 September 2011

meri wafaa ne khilayay thay jo gulab saray jhulas gaey hain

meri wafaa ne khilayay thay jo gulab saray jhulas gaey hain
tumhari aankhon mein jis qadar thay woh khwab saaray jhulas gaey hain


meri zameen ko kisi naey hadsay ka hai intezar shayad
gunah pighalnay lagay hain ajr-o-sawab saaray jhulas gaey hain


jo tum gaey to meri nazar pe haqeeqaton k azab utray
yeh sochta hoon keh kia karoon ga sarab saaray jhulas gaeyy hain


yeh mojza sirf aik shab ki masaafton kay sabab hoa hai
tumharay aur meray darmiyan k hijaab saaray jhulas gayay hain


usay batana keh uski yadoon kay saaray safhay jala chuka hoon
ketab e dil mein raqam thay jitnay woh baab saaray jhulas gaey hain


nazar uthaaun mein jis tarf bhi maheeb saayay hain zulmatoon kay
yeh kia keh meray naseeb kay mahtaab saaray jhulas gayay hain


tumhari nazron ki yeh tapish hai keh meray lafzon pe aablay hain
sawal saaray jhulas gaey hain jawab saaray jhulas gaey hain


yeh aag kahmoshiyon ki kesi tumhari aankhon mein tairti hai
tumharay honton pe darj thay jo nesaab saaray jhulas gaey hain

No comments:

Post a Comment