Pages

Thursday, 15 September 2011

terey badan se jo chuu kar idhar bhi aata hai

terey badan se jo chuu kar idhar bhi aata hai
misaal e rung woh jhonka, nazar bhi aata hai

tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas dia
hawa ki raah main ik aisa ghar bhi aata hai

woh muj ko toot k chaheyga , chhor jayega
muje khabar thi usey yeh hunar bhi aata hai

ujaarrr ban main utarta hai ik jugnu bhi
hawa k saath koi humsafar bhi aata hai

wafa ki kon si manzil pe usney chora tha
keh woh to yaad humain bhool kar bhi aata hai

jahan lahu k sumandar ki had theharti hai
wahin jazeera e laal o guhar bhi aata hai

chaley jo zikar Farishton ki Paarsaayee ka
Tu zair e behas muqaam e bashar bhi aata hai

abi siinaaan ko sanbhaaley rahain aduuv merey
k ehin saffon main kahin mera sir bhi aata hai

kabhi kabhi muje milney bulandiun se koi
Shuaa e Subah ki surat utar bhi aata hai

issi liay main kissi shab na so saka Mohsin
woh mahtaab kabhi baam par bhi aata hai

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment