Pages

Thursday, 15 September 2011

Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha

Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha
dil ko kuch dair to masroof e dua rakhna tha


main na kehta tha k saanpon se attey hein raastey
ghar se nikley they to haathon mein aasa rakhna tha


baat jab tark e taaluq pe hi thehri thi to phir
dil mein ehsaas e gum e yaar b kia rakhna tha


daman e moj e hava yun to na khaali jata
ghar ki dehleez pe koi to dia rakhna tha


kya khabar us k taaqub mein hon kitni sochain ?
apna andaz to auron se juda rakhna tha


chandni bund kuvarron mein kahan utrey gi ?
ik dareecha to bharey ghar mein khula rakhna tha


uski khushbu se sajana tha jo dil ko Mohsin
uski sanson ka laqab moj e saba rakhna tha

No comments:

Post a Comment