Sufi-e-shehr mere haq mein dua kaya karta,
khud tha mohtaj-e-ata, mujhko ataa kaya karta,
apni awaaz ke saaye say hol aata hay,
mein bayaban-e-tamanna mein sada kaya karta
Mohtasib jurm mera dekh ke khamosh raha,
khud khata'kaar tha, ehkaam-e-saza kaya karta,
us fiza mein to farishton ke bhi par jaltay hain,
mein yahan jurrat-e-parwaz bhala kaya karta,
Rifa'at-e-daar bhi choo li teri khatir mein ne,
Munkir-e-Ehd-e-Wafa! Bata kaya karta?
Tum ne to chheen li mujh se meri goyaae bhi,
Mein to ek kaghaz-e-atish zda tha, kaya karta,
khud faramoshi ke sehraa'on mein gum tha Mohsin,
Koi us be'khabar-e-jaan say gila kaya karta,
No comments:
Post a Comment