Pages

Tuesday, 27 September 2011

Nahi mil raha hay yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey


Nahi mil raha hay yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus’tuju day jawaab tuu keh lay aai hay yeh kahaaN mujhey!
wo sabaq meiN parrh kay bhula chuka keh osool banaatey heiN zindagi
mujhey mantaqi si daleel day, yeh muhaawarey na suna mujhey
tujhey kya khabar meiN dil meiN dard, liaye phir raha hooN ajab ajab
teri mashq puraani hey yaar tuu, kya ghaao day ga naya mujhey
nahi kuch gila keh yehsab hay kya, bhaley kuch ajab hay yehmaajra
keh meray aek jurm pay baar baar, koi day raha hay sazaa mujhay
yeh jo chaahatoN kay bazaar heiN yahaaN bik raha hay sabhi magar
yahaaN kon lay ga wafaa ki jins, bhala kya milay ga nafaa mujhey!
meray hum’nawa bhala meiN kahaN teray waastey, mujhey bhool ja
tuu nay khuwahishoN kay aoraaq par, kaheeN likh dia to mitta mujhey
yuN diye na rakh merey haath pay keh kattaiN gay nahi phir raastey
kabhi rok leiN gi baarisheiN to kabhi tang karey gi hawaa mujhey
kattaa zindagi ka katthin safar, meiN muflisi meiN maraa magar
meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN to laga mujhey

No comments:

Post a Comment