Pages

Friday, 28 October 2011

azaab-e-deed maiN ankhaiN lahoO lahoO kaR k

azaab-e-deed maiN ankhaiN lahoO lahoO kaR k
maiN shaRam saar huwa teRi justaju kaR k 


suNa hai shehaR maiN zakhmi diloN ka maila hai
chalaiN gaiN hum bhi magaR pairhaN rafoO kaR k 


musaaft-e-shab-e-hijraaN k baad bhaid khula?
hawa dukhi hai chiraaghoN ki aabroO kaR k 


zameeN ki payas usi k lahOo ko chaat gaee
wo khush huwa tha samandaaR ko aabjoO kaR k 


yeh kis ne hum se lahOo ka kharaaj phiR manga?
abhi tu soo’eY thaY maqtal ko surkharoO kaR k 


ujaaR ruut ko gulabi banaieY rakhti hai
hamaRi ankH teRi deed se wazOo kaR k 


koi tu habs-e-hawa se yeh pochta “mohsiN”
mila hai kia usay kaliyOn ko be-namOo kaR k

No comments:

Post a Comment