Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Teray chaar-soo hai saraab sa
Main kisay sach kahoon kisay khuwab sa
Teri aah-o-faghaan mein asar nahi
Teri shab ki koi sehar nahi
Na hi chand hai na hai chandani
Koi roshni ki lehar nahi
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Mujhe yeh bata tu nay kya kiya
Kiyun jahan hi sara luta diya
Kisi eik shaks kay vaastay
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Teray gham ki jo hai dawa bata
Shab-e-hijr mein jo labon pay thi
Wohi sab say pehli dua bata
Woh palat sakay tera ho sakay
Koi mujhko aisi wafa bata
Mujhay koi aisa to hurf day
Naya hosla na zarf day
Keh na tujh say koi gila karoon
Yunhi hans kay sab say mila karoon
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Meri baat sun meray paas aa
Teray saath main bhi to hoon kharra
Us rah mein usi morr per
Jahan chal diya tha woh chor ker
Kisi aur des ki aour ko
Nayi manzilo kay jahan ko
Jahan mera koi guzar nahi
Gila phir bhi us sey magar nahi
Dil-e-muztarib dil-e-ghamzada
Chalo usko detay hein dua
Keh woh khush rahay meray siwa
No comments:
Post a Comment