gumsum hua aawaz ka derya tha jo ik shakhs
pather bhi nahi ab woh, sitara tha jo ik shakhs
shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko barey ghor say perhta tha jo ik shakhs
sehra ki tarah dair say piyasa tha woh shayed
badal ki tarah toot k bersa tha jo ik shakhs
aey taiz hawa koi khabar us kay junoon ki!!
tanha safar-e-shoq peh nikla tha jo ik shakhs
ab aakhri satron main kaheen naam hai us ka
ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shakhs
haathon main chupaye huye phirta hai kai zakham
sheeshay kay khilonon say behalta tha jo ik shakhs
mur mur kay usay dekhna chahain meri aankhain
kuch door mujhay chornay aaya tha jo ik shakhs
ab us nay bhi apna liye dunya kay qareenay
saaye ki rafaaqat say bhi derta tha jo ik shakhs
her zehan main kuch naqsh-e-wafa chor gaya hai
kehnay ko bharay shehar main tanha tha jo ik shakhs
munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin
aksar mujhay khat khoon say likhta tha jo ik shakhs

No comments:
Post a Comment