Wednesday, 12 October 2011

ik Anchal say bandha hai sab kuch

ik Anchal say bandha hai sab kuch
ik tasweer
aur tasveer pay bheegay huay hont
ik sandal ki unabi pencil
ik bay rabt sa ukhra huwa khat
ik adad card
jis ko choonay say teri yaad chali aati hai
aur us card main rakhi hui ikloti palak
jis say manoos duaoon ki mehak ati hai
kisi gumnam say shair ka adhora misra
ik pazaib say bichra huwa ujla mooti
ik murjhaai huai zard chameli ki kali
jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain
ik boseeda Q paper
jis k konay pay likha naam abhi taza hai
sharbati kanch ki totti hui nazuk choori
ik tota huwa halka sa gulabi naakhun
ik gadla sa tissue paper bhi
jis pay mehkay huay ashkon k nishaan zinda hain
yehi dolat hai yehi kuch hai asaasa mera
ik anchal say bandha hai sab kuch
ik bheegay huay anchal say bandha hai sab kuch

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets