jamaal-e- yar ko dekhoon kamaal-e-yar say pehlay
main khushbu ki terha mehkoon khayal-e-yaar say pehlay
karishmay husan k suraj, sitarey, phool zaahir hain
magar main kis taraf dekhoon misal-e-yar $e pehlay
duaaon me meri yun tou bohat taseer hay lekin
khuda say or bhala kaya maanguun sawal-e-yar say pehlay
hay aadat door rehnay ki, gar wo saam'nay aaey
main sham-e-zindgi chaahun visaal-e-yaar se pehlay
sabhi mosam hon us k leay khushiyon kay, jahan us ka basaira ho
zamanay ko he badal daaloon zawaal-e-yar say pehlay

No comments:
Post a Comment