Pages

Saturday, 15 October 2011

Wo Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi

Wo Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi
Piyasay Hont They Aankh Samundar Jaisi Thi


Suraj Is Ko Dekh K Peela Parta Tha
Wo Sarma Ki Dhoop Mai Dhul Kar Nikli Thi


Is Ko Apne Saaye Se Dar Lagta Tha
Suraj Ke Sehra Mai Who Tanha Hirnee Thi


Aatay Jaatay Mousam Uss Ko Daste The
Hanstay Hanstay Palkon Se Ro Parti Thi


Aadhi Raat Ganwa Deti Thi Chup Reh Kar
Aadhi Raat K Chaand Se Baatain Karti Thi


Door Se Ujray Mandir Jaisa Ghar Tha Uss Ka
Who Apney Ghar Mai Ikloti Devi Thi


Mom Se Nazuk Jism Sehar Ko Dukhta Tha
Diye Jala Kar Shab Bhar Aap Pighalti Thi


Taiz Hawa Ko Rok K Apnay Aanchal Par
Sookhay Phool Ikathaty Karti Phirti Thi


Sab Par Zahir Kar Deti Thi Bhed Apna
Sab Se Ek Tasweer Chupaye Rakhti Thi


Kal Shab Chikna Choor Hua tha Dil Uss Ka
Ya Phir Pehli Baar Wo Khul Kar Roi Thi


Mohsin Kia Jaanay Kyun Dhoop Se Be Parwa
Wo Apnay Ghar Ki Dahleez Par Baithi Thi

No comments:

Post a Comment